koi haajat ho to milnay chalay atay hain
hamein yaaron ne mazaar samajh rakha hai
******
hum hain gurbat mein guzaray hue ayyaam jinhen
log jab takhat pay atay hain, bhala dete hain
******
tum se jarr ke toot ke jo hum bikhare hain
ab dekhiyee kab ja ke hum sambhalte hain
raah mein apni yun kanch bhi bikhare hain
sir pa sir yun hum bhi zakhmi huve hain
lafzon ke nishtar teer ban ke jo chalay hain
huve dil mein paivest woh kis ne dekhe hain
ik chup ke samandar mein hum bhi utre hain
ab dekhiyee kab jaake reh khizar mlitay hain
******
samajh mayn zindagi aay kahan say
parhi hai yeh ibaarat darmia se
darecha baz hai yaado ka aur mein
sun-hwa santa hon mein pairron ki zuba se
zmanaa thaa wo dil kee zindagi ka
tri furqat ke din lau kahan se
falan se thi ghazal behtar falan ki
falan ke zakham achay thay falan se
******
tadfeen mere jism ki ho jaye gi magar
tum! kaisay mere khawab, utaro ge lehad mein
******
talabb ko ajar nah dun, fikar rahaguzar nah karoon
safar mein ab ke sun-hwa ko bhi hamsafar nah karoon
ubhartay doubtey Sooraj se toar lon rishta
mein shaam ourh ke so jaoon aur sehar nah karoon
ab is se barh ke bhala kya ho ahthyat wafa
mein tairay shehar se guzron, tujhe khabar nah karoon
0 Comments