her mooskarata howa chehra khush nahi hota .
har chamakti aankhon mein roshni ke khawab nahi hotay .
har hansi mein zindagi ka rang nahi hota .
.******
kabhi kabhar zindagi –apne wujood mein hazaron raaz chhupa
ke baithi hoti hai .
woh shakhs jo sab se ziyada mohabbat pay likhta hai ,
woh mohabbat panay se mahroom ho. .. . yeh bhi ho sakta hai .
.
******
vaastaa husn se kya shiddat jazbaat se kya
ishhq ko tairay qabeeley ya meri zaat se kya
meri masroof tabiyat bhi kahan rokkk saki
woh to yaad aata hai usko marey din raat se kya
aaj usay fikar hai ke kya log kahin ge mohsin
kal jo kehta tha mujhe rasam o riwayaat se kya
.
******
dekh kar ghair ko ho kyun nah kalejhaa thand
naala karta tha, vle talbِ taseer bhi tha
qeyamat khez hayn tumharee aankhen
tum aakhir khawab kis ke dekhatii ho
tumahray hotay hue ghair ka dilasa hai
tumhe pata hai yeh kitna bara tamancha hai
tamam shehar masiihaa hai aur taak mein hai
magar yeh zakham mera aakhri asasa hai
.
******
dard ki shaam ho ya sukh ka sawera ho
sab kuch qubool hai agar sath ik tera ho
.
******
jism ka sab se ghair mehfooz hissa naak hai
kyunkay yeh zara zara si baat par kat jati hai
0 Comments