******
ik khamoshi hamaray dil ko deti hai malal
aur sab baatein pasand ayen teri tasweer ki
******
ab kya sochna aisi waisi baton pay
unn hathon ne baal sanware kis ke hain
kon hai is rim jhim ke peechay chhupa sun-hwa
yeh ansoo saaray ke saaray kis ke hain
******
meri be dard nigahon mein agar bhoolay se
neend aa bhi jaye to khawab kahan atay hain
tanha rehta hon mein din bhar bhari duniya mein qateel
din buray hon to phir ahbaab kahan atay hain
******
yeh to ik rasm-e jahan hai, jo Ada hoti hai
warna chaand ki kahan saalgirah hoti hai
******
tasawurat ki duniya mein aik chehray ko
hazaar baar bhi daikhon to jee nahi bharta
******
ankhen aisi ke khumari ka sabab lagti hain
misar ke saaray ajaaeb se ajab lagti hain
kalay jore pay hi moqoof nahi hain jalwey
aap neela bhi pehan len to gazabb lagti hain
haae woh shair sonaati hui" shayar ankhen "
nasir o Faiz o fanaa jee ka" adab" lagti hain
******
hamaray shehar mein sab se Hussain shakhs hai to
mein kaisay sab ki tawajah hataon ga tujh se
koi jo mujh se mohabbat ka pooch le matlab
mein yun karoon ga ke is ko mlaon ga tujh se
******
Thanks for reading you may also like Urdu Poetry Status
nibha raha hon woh waday bhi jo kiye hi nahi
mein khud ko kitna murawwat mein khawar karta hon
yeh un ka zarf hai baithy hain aastino mein
yeh meri khoo hai ke mein yaar yaar karta hon
******
meri sochon ka mehwar ho, mera zorِ bayan ho tum
mein hon faqat lafz mohabbat aur meri zuba ho tum
1 Comments
best urdu ghazal
ReplyDelete