Love Urdu Poetry

mein dekh laita hon chashm-e nihaan ki khirki se
nai bahhar ka mausam khizaa ki khirki se

******

subah se shaam tak meri duniya
aik manzar hai is ki rukhsat ka

******

bhage thay hum bohat. so, isi ki saza hai yeh
ho kar aseer dabatay hain raah zan ke paon

******

labon ko jaam nazar teer kar ke jeetay hain
khyalِ yaar ko tasweer kar ke jeetay hain
hamaray honay nah honay ka ab sawal nahi
hum apni zaat ko taskheer kar ke jeetay hain

******

jaisay shehron ke kabhi naam para karte thay
aisay ik din se mujhe tera kaha jane laga

******

Good to Read Love Poetry, also view Urdu Shayari



******

zamee pay paon hi lagtay nahi wahan –apne
hamara haal juda uss gali mein hota hai

******

aankhon ki tri jadu bayani mein kayi baar
alfaaz ko dhoonda hai ma-ani mein kayi baar
ansoo nah bahao yun abhi se ke abhi to
aaye ga mra zikar kahani mein kayi baar
jeena to bas ik baar ka jeena hai jahan mein
marna hai magar aalmِ faani mein kayi baar