toot kar girtay rahay palkon se tarre raat b_hr
dil ke saaray karzzzz aankhoo ne utaarey raat b_hr
******
hamaray lehjey ki karhwahat
hamesha hamari akarr nahi hoti
balkay hamari zindagi mein
bardasht ki hui talkhioun ka nateeja hoti hai
******
woh jis ke honay se theen sansen meri dugni mohsin
woh jo bitchrha to meri Umar ghata di is ne
******
mein jo mehka to meri shaakh jala di uss ne
sabz mausam mein mujhe zard sun-hwa di uss ne
jaanta tha ke mujhe mout sakoo bakhshay gi
woh sitam gar tha, so jeeney ki dُaa di uss ne
******
grch_h mehanga he mazhab, khuda muft hai
ik kharedo ge to, dُosra muft hai
kyun ulhajtay ho saqi se qeemat pay tum ?
daam to jaam ke hain, nasha muft hai
faisla kiijiye, bhao tao nahi
ya mohabbat he anmol ya muft hai
dُosra jaan day ke bhi Milta nahi
ishhq ki dor ka ik sira muft hai
******
ajeeb baat hai ab bhi yaqeen nahi mujh pay
tumahray naam pay khud ko ujaarr bethay hain
0 Comments